barhaman  but-kade  ke  shaiḳh  baitullāh  ke  sadqe
kaheñ  haiñ  jis  ko  'saudā'  vo  dil-e-āgāh  ke  sadqe
jatā  deñ  jis  jagah  ham  qadr  apnī  nā-tavānī  kī
agar  kohsār  vaañ  hove  to  jaave  kaah  ke  sadqe
na  de  taklīf  jalne  kī  kisū  ke  dil  ko  mere  par
asar  se  duur  rahtī  haiñ  maiñ  apnī  aah  ke  sadqe
ajā.ib  shaġhl  meñ  the  raat  tum  ai  shaiḳh  rahmat  hai
maiñ  us  rīsh-e-buland  aur  dāman-e-kotāh  ke  sadqe
nahīñ  be-vaj.h  kūche  se  tire  uThnā  bagūle  kā
hamārī  ḳhaak  bhī  jaatī  hai  terī  raah  ke  sadqe
kabhū  vo  shab  bhī  ai  parvāna  haq  bāham  dikhāvegā
tū  bal  bal  sham.a  par  jaave  maiñ  huuñ  us  maah  ke  sadqe
dikhātī  hai  tujhe  kis  kis  tarah  'saudā'  kī  nazroñ  meñ
jo  ho  insāf  to  jaave  tū  us  kī  chaah  ke  sadqe