gar  kījiye  insāf  to  kī  zor  vafā  maiñ
ḳhat  aate  hī  sab  chal  ga.e  ab  aap  haiñ  yā  maiñ
tum  jin  kī  sanā  karte  ho  kyā  baat  hai  un  kī
lekin  Tuk  idhar  dekhiyo  ai  yaar  bhalā  maiñ
rakhtā  hai  kuchh  aisī  vo  barahman  bacha  raftār
but  ho  gayā  dhaj  dekh  ke  jis  kī  ba-ḳhudā  maiñ
yaaro  na  bañdhī  us  se  kabhū  shakl-e-mulāqāt
milne  ko  to  us  shoḳh  ke  tarsā  hī  kiyā  maiñ
jab  maiñ  gayā  us  ke  to  use  ghar  meñ  na  paayā
aayā  vo  agar  mere  to  dar  ḳhud  na  rahā  maiñ
kaifiyyat-e-chashm  us  kī  mujhe  yaad  hai  'saudā'
sāġhar  ko  mire  haath  se  liijo  ki  chalā  maiñ