le  dīda-e-tar  jidhar  ga.e  ham
Dabre  jo  the  ḳhushk  bhar  ga.e  ham
tujh  ishq  meñ  roz-e-ḳhush  na  dekhā
dukh  bharte  hī  bharte  mar  ga.e  ham
terā  jo  sitam  hai  us  kī  tū  jaan
apnī  thī  sau  ḳhuub  kar  ga.e  ham
ye  qit.a  paḌhe  thā  soz-e-dil  se
saudā  ke  jo  raat  ghar  ga.e  ham
juuñ  sham.a  laboñ  par  aa  rahā  jī
tan  thā  so  gudāz  kar  ga.e  ham
itnī  bhī  patañg  pesh-qadmī!
gar  shaam  nahīñ  sahar  ga.e  ham
hogī  na  kisī  ko  ye  ḳhabar  bhī
us  majlis  se  kidhar  ga.e  ham