dil  le  ke  hamārā  jo  koī  tālib-e-jāñ  hai
ham  bhī  ye  samajhte  haiñ  ki  jī  hai  to  jahāñ  hai
har  ek  ke  dukh-dard  kā  ab  zikr-o-bayāñ  hai
mujh  ko  bhī  ho  ruḳhsat  mire  bhī  muñh  meñ  zabāñ  hai
is  ishq  ke  hai  tū  hī  sazā-vār  ki  har  ek
dil  de  ke  tire  naam  ko  jūyā-e-nishāñ  hai
jūinda-e-har-chīz  hai  yābinda  jahāñ  meñ
juz  umr-e-guzishta  ki  vo  DhūñDo  to  kahāñ  hai
piirī  jo  tū  jaave  to  javānī  se  ye  kahnā
ḳhush  rahiyo  marī  jaan  tū  jīdhar  hai  jahāñ  hai
pahuñchā  na  koī  murġh  kabhū  apne  chaman  tak
juz  tā.ir-e-hasrat  ki  vo  yaañ  bāl-fishāñ  hai
tujh  se  to  kisū  tarah  mirā  kuchh  nahīñ  chaltā
juz  ḳhuun  ki  āñkhoñ  se  shab  o  roz  ravāñ  hai
saaqī  tū  nazar  kījiyo  Tuk  sub.h-e-chaman  ko
is  piir  ke  jalve  kā  bhalā  koī  javāñ  hai
'saudā'  kā  tire  dasht  meñ  tiflāñ  se  hai  ye  haal
jīdhar  vo  khaḌā  hove  to  juuñ  sañg-e-nishāñ  hai