Mohsin Zaidi

main ek harf maani ka ek daftar wo

Mohsin Zaidi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1935-2003

maiñ ek harf ma.ānī ek daftar vo

maiñ ek mauj-e-sarāb-e-junūñ samundar vo

tamām sābit-o-sayyār us ke halqa-ba-gosh

ye kā.enāt hai ik dā.era to mehvar vo

tamām mumlikateñ us ke qalam-rau maiñ

sab us ke zer-e-nagīñ bahr-o-bar dāvar vo

saroñ pe ahl-e-karam ke hai abr rahmat

sitam-garoñ ke liye qahr hai lashkar vo

kahīñ hai din tapish meñ shajar shajar saaya

kahīñ hai shab ke añdhere meñ māh-o-aḳhtar vo

koī madad ko na aa.egā aisī manzil hai

panāh jaañ ko milegī agar hai rahbar vo

phir us hamd-o-sanā kis tarah likhī jaa.e

hudūd-e-lafz-o-ma.ānī se jab hai bāhar vo

kitāb-e-dīn takmīl ho chukī 'mohsin'

zamīñ pe bhej chukā āḳhirī payambar vo

Top Urdushayar.com