Mohsin Zaidi

bagh sara to bayaban na hua tha so hua

Mohsin Zaidi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1935-2003

baaġh saarā to bayābāñ na huā thā so huā

jo ḳhizāñ kabhī ehsāñ na huā thā so huā

ham to bedār hue ḳhvāb se apne lekin

vo bhī ḳhvāboñ meñ pareshāñ na huā thā so huā

ham bhī kuchh soch ke kar baiThe bil-āḳhir shikva

vo bhī pahle to pashemāñ na huā thā so huā

mish.aleñ sar sajā.ī ga.iiñ tasht-e-zar meñ

kab se maqtal meñ charāġhāñ na huā thā so huā

safar-e-jāñ huī ab kahīñ kar takmīl

ya.anī maiñ be-sar-o-sāmāñ na huā thā so huā

dekhte dekhte aa pahuñchā saroñ tak paanī

ab tak andāza-e-tūfāñ na huā thā so huā

dosto maiñ jo ta.alluq thā vo baaqī na rahā

dushmanoñ meñ koī paimāñ na huā thā so huā

aur kyā mujh ko sila miltā ḳhulūs-e-dil

hadaf-e-tohmat-e-yārāñ na huā thā so huā

dasht meñ abr to barsā vo do ik buuñd sahī

pahle itnā bhī to imkāñ na huā thā so huā

'mohsin' achchhā huā us ne ulaT jo naqāb

rañg us jo numāyāñ na huā thā so huā

Top Urdushayar.com