Abdul Mateen Niyaz

kaise rakhenge sar pe kisi ka udhaar hum

Abdul Mateen Niyaz

Barabanki, Uttar pradesh, India

1929
kaise rakheñge sar pe kisī kā udhār ham
qarz-e-vafā meñ karte haiñ sar kā shumār ham
afsos isī chaman meñ hue be-viqār ham
jis ko ki chāhte rahe dīvāna-vār ham
alfāz madah-ḳhvāñ the qalam the bike hue
kaise tarāsh lete koī shāh-kār ham
milnā hamārā ḳhaak meñ zaa.e.a na jā.egā
de jā.eñge chaman ko shu.ūr-e-bahār ham
koī sipar bachā na sakegī huzūr ko
talvār se suḳhan kī kareñge jo vaar ham
ai zindagī na ham se chhupā rāz-e-zindagī
har saañs meñ haiñ tere hī ā.īna-dār ham
Dāleñ ab ek aur rivāyat kī dāġh-bel
dushman pe ai 'niyāz' kareñ e'tibār ham
Top Urdushayar.com