mire  kalām  meñ  pechīda  isti.āra  nahīñ
ki  harf-e-sidq  chhupānā  mujhe  gavārā  nahīñ
mire  liye  yahī  maujeñ  haiñ  dāman-e-iliyās
bhañvar  meñ  huuñ  mire  donoñ  taraf  kināra  nahīñ
duā.eñ  māñgtā  huuñ  sub.h  ke  ujāloñ  kī
añdherī  vasl  kī  shab  bhī  mujhe  gavārā  nahīñ
tire  mizāj  ke  resham  meñ  kaise  aag  lagī
mirī  ġhazal  kā  ḳhunuk  lafz  to  sharāra  nahīñ
dil-o-dimāġh  ko  kyā  degā  raushnī  vo  'hazīñ'
na.ī  hayāt  kā  jo  lafz  goshvāra  nahīñ