nazar  aate  nahīñ  haiñ  bahr  meñ  ham
ya.anī  rahte  haiñ  apnī  lahr  meñ  ham
khul  rahe  haiñ  bañdhe  hue  pul  se
ghul  rahe  haiñ  ḳhud  apne  zahr  meñ  ham
hai  qafas  bhī  tilism-ḳhāna-e-ḳhvāb
aa  ga.e  ek  aur  shahr  meñ  ham
kisī  zindāñ  meñ  sochnā  hai  abas
dahr  ham  meñ  hai  yā  ki  dahr  meñ  ham
ho  ga.ī  raat  so  leñ  kuchh  sardār
jaag  uTTheñge  pichhle  pahr  meñ  ham
ham  haiñ  maqtal  meñ  aur  qātil  ġham
kaise  laa.e  ga.e  the  qahr  meñ  ham
ab  jagā.egī  yaad  us  kī  'zafar'
chhoḌ  aa.e  jo  niiñd  nahr  meñ  ham