kahāñ  tak  kāvish-e-isbāt-e-paiham
kahāñ  tak  zaḳhm-e-dil  tadbīr-e-marham
sukūt-e-shab  hujūm-e-nā-umīdī
shumār-e-dāġh-hā-e-zīst  aur  ham
kabhī  aalam  ġhubār-e-chashm-e-hairāñ
kabhī  vo  ik  nigah  aur  ek  aalam
baḌhāo  jur.at-e-afkār  kī  lau
abhī  hai  garmī-e-bazm-e-junūñ  kam
dahakne  do  abhī  dāġhoñ  se  mahfil
chhalakne  do  abhī  paimāna-e-ġham
ye  kis  manzil  pe  le  aa.ī  tamannā
ki  bas  ik  dard-e-tanhā.ī  hai  mahram