qatra-e-āb  ko  kab  tak  mirī  dhartī  tarse
aag  lag  jaa.e  samundar  meñ  to  paanī  barse
surḳh  miTTī  kī  ridā  oḌhe  hai  kab  se  ākāsh
na  shafaq  phūle  na  rim-jhim  kahīñ  bādal  barse
ham  ko  khīñche  liye  jaate  haiñ  sarāboñ  ke  bhañvar
jaane  kis  vaqt  meñ  ham  log  chale  the  ghar  se
kis  kī  dahshat  hai  ki  parvāz  se  ḳhā.if  haiñ  tuyūr
qumriyāñ  shor  machātī  nahīñ  kis  ke  Dar  se
chār-sū  kūcha-o-bāzār  meñ  mahshar  hai  bapā
ḳhauf  se  log  nikalte  nahīñ  apne  ghar  se
muḌ  ke  dekhā  to  hameñ  chhoḌ  ke  jaatī  thī  hayāt
ham  ne  jaanā  thā  koī  bojh  girā  hai  sar  se