maarā  hameñ  is  daur  kī  āsāñ-talbī  ne
kuchh  aur  the  is  daur  meñ  jiine  ke  qarīne
har  jaam  lahū-rañg  thā  dekhā  ye  sabhī  ne
kyuuñ  shīsha-e-dil  chuur  thā  pūchhā  na  kisī  ne
ab  halqa-e-girdāb  hī  āġhosh-e-sukūñ  hai
sāhil  se  bahut  duur  Dubo.e  haiñ  safīne
har  lamha-e-ḳhāmosh  thā  ik  daur-e-pur-āshob
guzre  haiñ  isī  taur  se  saal  aur  mahīne
maazī  ke  mazāroñ  kī  taraf  soch  ke  baḌhnā
ho  jāoge  māyūs  na  kho  do  ye  dafīne
har  bazm-e-suḳhan  jhūTe  nagīnoñ  kī  numā.ish
sartāj-e-suḳhan  the  jo  kahāñ  haiñ  vo  nagīne