sivā  hai  had  se  ab  ehsās  kī  girānī  bhī
girāñ  guzarne  lagī  un  kī  mehrbānī  bhī
kis  ehtimām  se  paḌhte  rahe  sahīfa-e-zīst
chaleñ  ki  ḳhatm  huī  ab  to  vo  kahānī  bhī
likho  to  ḳhūn-e-jigar  se  havā  kī  lahroñ  par
ye  dāstāñ  anokhī  bhī  hai  purānī  bhī
kisī  tarah  se  bhī  vo  gauhar-e-talab  na  milā
hazār  baar  luTā.ī  hai  zindagānī  bhī
hamīñ  se  anjuman-e-ishq  mo'tabar  Thahrī
hamīñ  ko  sauñpī  ga.ī  ġham  kī  pāsbānī  bhī
ye  kyā  ajab  ki  vahī  bahr-e-nīstī  meñ  girī
nafs  kī  mauj  meñ  mastī  bhī  thī  ravānī  bhī
shu.ūr  o  fikr  se  aage  hai  chashma-e-taḳhlīq
haTegā  sañg  to  bahne  lagegā  paanī  bhī