Zahida Zaidi

tapish se phir naghma-e-junun ki surud-o-chang-o-rabab TuTe

Zahida Zaidi

Meerut, Uttar pradesh, India

1930-2011
tapish se phir naġhma-e-junūñ kī surūd-o-chañg-o-rabāb TuuTe
kisī haqīqat ke ek sañg-e-girāñ se Takrā ke ḳhvāb TuuTe
hayāt kī jū-e-dard-o-ġham meñ safīne ummīd-o-ārzū ke
ba-shakl-e-mauj-e-nasīm ubhre ba-rañg-e-jism-e-habāb TuuTe
sunā rahī haiñ vafā kī rāheñ shikast-e-parvāz kā fasāna
ki duur tak vādī-e-talab meñ paḌe haiñ har samt ḳhvāb TuuTe
barahna-pā aao tum bhī hamdam bas ab to sahrā-e-ārzū meñ
tamāzat-e-reg-e-āgahī se tilism-e-mauj-e-sarāb TuuTe
yahī hai gar bazm-e-mai-gusārāñ to shart-e-sad-ehtiyāt kyuuñ ho
kisī ke hāthoñ meñ jaam chhalke kisī kā band-e-naqāb TuuTe
chaTaḳh rahe haiñ diloñ ke sāġhar magar ye farmān-e-chāragar hai
na koī chashm-e-pur-āb chhalke na koī jām-e-sharāb TuuTe
Top Urdushayar.com