kyā  dekhte  haiñ  aap  jhijak  kar  sharāb  meñ
paidā  hai  aks-e-zulf-e-mo'ambar  sharāb  meñ
partav-fagan  hai  chashm-e-fusūñ-gar  sharāb  meñ
kyā  mil  gayā  hai  fitna-e-mahshar  sharāb  meñ
bad-mastiyoñ  ke  shauq  ne  tūfāñ  uThā.e  haiñ
baiThe  haiñ  ham  bahā.e  hue  ghar  sharāb  meñ
tar-dāmanoñ  ko  ātish-e-dozaḳh  se  hai  najāt
jaama  hai  shor-bor  sarāsar  sharāb  meñ
be-yār  mauj-e-mai  hai  rag-e-jāñ  meñ  neshtar
ye  jāñ-satāniyāñ  haiñ  muqarrar  sharāb  meñ
kuchh  qatl  meñ  bhī  chāshnī-e-mai  zarūr  hai
qātil  bujhā  ke  lā.iyo  ḳhanjar  sharāb  meñ
shīrīñ-kalāmiyāñ  haiñ  vahāñ  vaqt-e-mai-kashī
goyā  milā  hai  qand-e-mukarrar  sharāb  meñ
kahtā  hai  rañg-e-ruḳh  se  tire  jauhar-e-sharāb
khilte  haiñ  husn-e-shoḳh  ke  jauhar  sharāb  meñ
mahrūm  bazm-e-mai  se  na  phir  jaa.e  mohtasib
de  do  koī  kabāb  Dubo  kar  sharāb  meñ
'raunaq'  ne  un  ke  haath  se  bazm-e-raqīb  meñ
ik  ḳhūn-e-dil  piyā  hai  milā  kar  sharāb  meñ