nusḳhe  meñ  tabīboñ  ne  likhā  aur  hī  kuchh  hai
bīmār-e-mohabbat  kī  davā  aur  hī  kuchh  hai
aġhyār  se  thiiñ  mere  satāne  kī  salāheñ
aur  maiñ  ne  jo  pūchhā  to  kahā  aur  hī  kuchh  hai
kahte  haiñ  vo  ghabrā  ke  mujhe  dekh  ke  ġhash  meñ
mar  jā.eñge  ye  in  ko  huā  aur  hī  kuchh  hai
māñge  koī  daulat  koī  izzat  koī  jannat
aur  āshiq-e-be-dil  kī  duā  aur  hī  kuchh  hai
a.adā  kī  mulāqāt  se  inkār  musallam
kyā  kahiye  magar  ham  ne  sunā  aur  hī  kuchh  hai
har-chand  qayāmat  hai  tirī  chashm  kī  shoḳhī
shoḳhī  meñ  magar  rañg-e-hayā  aur  hī  kuchh  hai
haañ  zamzama-e-bulbul-o-qumrī  na  pe  jaanā
'raunaq'  dil-e-nādāñ  kī  sadā  aur  hī  kuchh  hai