vo  jab  bhī  pukāregā  yahāñ  aan  raheñge
ham  ḳhāk-nashīñ  be-sar-o-sāmān  raheñge
hañgām-e-jahāñ  tujh  meñ  pareshān  raheñge
yā  dasht-e-tilismāt  meñ  hairān  raheñge
saaya  bhī  yahāñ  duur  zarā  ham  se  chalegā
ye  shahr  hī  aisā  hai  ki  anjān  raheñge
ai  aql  nahīñ  ā.eñge  bātoñ  meñ  tirī  ham
nādān  the  nādān  haiñ  nādān  raheñge
sun  ḳhū-e-tarab  shahr-e-nigārāñ  kī  taraf  jā
ham  ahl-e-junūñ  sū-e-bayābān  raheñge