qarīb  thā  ki  harārat  se  jal  uThā  hotā
diyā  hathelī  pe  kuchh  vaqt  agar  rukā  hotā
banāyā  jaatā  agar  Tahniyoñ  se  pinjre  ko
qafas  meñ  kuchh  to  parindoñ  ko  aasrā  hotā
tumhāre  juuḌe  meñ  hai  is  liye  salāmat  hai
ye  phuul  shāḳh  pe  pazhmurda  ho  gayā  hotā
ḳhudā  kā  shukr  ki  nisbat  qalam  se  hai  varna
hamāre  haath  bhī  bārūd  lag  chukā  hotā
bilaktā  bachcha  kahāñ  baap  se  sambhaltā  hai
jo  hotī  maañ  to  use  chup  karā  liyā  hotā
tujhe  lagī  hī  nahīñ  ishq  kī  havā  'tāsīr'
vagarna  tujh  meñ  koī  aur  boltā  hotā