aaj  kuchh  sūrat-e-aflāk  judā  lagtī  hai
dekhtā  huuñ  tirī  jānib  to  ghaTā  lagtī  hai
zindagī  ham  tire  kūche  meñ  chale  aa.e  to  haiñ
tere  kūche  kī  havā  ham  se  ḳhafā  lagtī  hai
shab  kī  aahaT  se  yahāñ  chauñk  gayā  hai  koī
ye  bhī  shāyad  mire  dil  hī  kī  ḳhatā  lagtī  hai
maiñ  zamīnoñ  kī  lakīroñ  meñ  ulajhtā  kaise
āsmānoñ  se  mirī  gardish-e-pā  lagtī  hai
kyā  milegā  tujhe  mele  meñ  bhaTakne  vaale
in  dukānoñ  meñ  faqat  ek  sadā  lagtī  hai