maiñ  koī  dasht  maiñ  dīvār  nahīñ  kar  saktā
shahr  ab  mujh  pe  kabhī  vaar  nahīñ  kar  saktā
maiñ  nahīñ  chāhtā  har  dam  tirī  yādoñ  kā  hujūm
apnī  tanhā.ī  meñ  darbār  nahīñ  kar  saktā
terā  ġham  ho  ki  ġham-e-dahr  uThāne  meñ  hai  kyā
kaam  kyā  hai  jo  ye  bīmār  nahīñ  kar  saktā
ik  imārat  mire  andar  huī  mismār  to  ab
kyā  mujhe  vaqt  sar-e-dār  nahīñ  kar  saktā
apnī  qīmat  mujhe  mālūm  hai  darbār-e-suḳhan
terī  qīmat  pe  ye  bāzār  nahīñ  kar  saktā