kab  khulegā  ki  falak  paar  se  aage  kyā  hai
kis  ko  mālūm  ki  dīvār  se  aage  kyā  hai
ek  turra  sā  to  maiñ  dekh  rahā  huuñ  lekin
koī  batlā.e  ki  dastār  se  aage  kyā  hai
zulm  ye  hai  ki  yahāñ  biktā  hai  yūsuf  be-dām
aur  nahīñ  jāntā  bāzār  se  aage  kyā  hai
sar  meñ  saudā  hai  ki  ik  baar  to  dekhūñ  jā  kar
sar-e-maidān  sajī  daar  se  aage  kyā  hai
jis  ne  insāñ  se  mohabbat  hī  nahīñ  kī  'tābish'
us  ko  kyā  ilm  ki  pindār  se  aage  kyā  hai