ajab  yaqīn  sā  us  shaḳhs  ke  gumān  meñ  thā
vo  baat  karte  hue  bhī  na.ī  uḌaan  meñ  thā
havā  bharī  huī  phirtī  thī  ab  ke  sāhil  par
kuchh  aisā  hausla  kashtī  ke  bādbān  meñ  thā
hamāre  bhīge  hue  par  nahīñ  khule  varna
hameñ  bulātā  sitāra  to  āsmān  meñ  thā
utar  gayā  hai  rag-o-pai  meñ  zā.iqa  us  kā
ajiib  shahad  sā  kal  raat  us  zabān  meñ  thā
khulī  jo  aañkh  to  'tābish'  kamāl  ye  dekhā
vo  merī  ruuh  meñ  thā  aur  maiñ  makān  meñ  thā