ye  shahr  āfatoñ  se  to  ḳhālī  koī  na  thā
jab  ham  saḳhī  hue  to  savālī  koī  na  thā
likkhā  hai  dāstāñ  meñ  ki  gulshan  ujaḌte  vaqt
gulchīñ  be-shumār  the  maalī  koī  na  thā
us  dasht  meñ  mirā  hī  hayūlā  thā  har  taraf
maiñ  ne  hī  sham-e-ishq  jalā  lī  koī  na  thā
jalse  ujaḌ  ga.e  the  kisī  ḳhud-fareb  ke
ḳhud  hī  bajā  rahā  thā  vo  taalī  koī  na  thā
'tābish'  har  ek  dil  meñ  sharāre  the  qahr  ke
ho  paas  jis  ke  soz-e-bilālī  koī  na  thā