fasīl-e-shahr  se  kyuuñ  sab  ke  sab  nikal  aa.e
hameñ  ḳhabar  na  huī  jaane  kab  nikal  aa.e
qadam  qadam  pe  yahāñ  qahqahe  bichhe  hue  haiñ
ye  kaise  shahr  meñ  ham  be-sabab  nikal  aa.e
vo  raushnī  meñ  nahāyā  huā  tasavvur  thā
añdherā  baḌhtā  gayā  dast-e-shab  nikal  aa.e
ab  is  se  pahle  ki  rusvā.ī  apne  ghar  aatī
tumhāre  shahr  se  ham  bā-adab  nikal  aa.e
phir  ek  lamhe  ko  Thahrā  nahīñ  gayā  ham  se
hamāre  dil  ne  kahā  ab,  to  ab  nikal  aa.e