darūn-e-zāt  hujūm-e-azāb  Thahrā  hai
kahāñ  ye  silsila-e-iztirāb  Thahrā  hai
yahīñ  ufuq  se  zamīneñ  savāl  kartī  haiñ
kahāñ  ḳhalāoñ  meñ  chhup  kar  javāb  Thahrā  hai
badan-zamīn  meñ  āñkheñ  ugaa.ī  haiñ  ham  ne
badan-falak  pe  koī  māhtāb  Thahrā  hai
isī  javāb  ke  raste  savāl  aate  haiñ
isī  savāl  meñ  saarā  javāb  Thahrā  hai
siyah  libās  meñ  ham  shab  ke  mātamī  Thahre
siyāh  shab  kī  nahūsat  meñ  ḳhvāb  Thahrā  hai