Yunus Ghazi

kahiye kin lafzon mein ashkon ki kahani likkhun

Yunus Ghazi

Banaras, Uttar pradesh, India

1953
kahiye kin lafzoñ meñ ashkoñ kī kahānī likkhūñ
mo'tariz aap lahū par haiñ to paanī likkhūñ
un ko apnā sā lage aur ho qissa merā
dil kī ḳhvāhish hai ki ik aisī kahānī likkhūñ
daaġh jitne bhī haiñ gulzār-e-tamannā meñ mere
phuul kī tarah unheñ terī nishānī likkhūñ
laakh afsāne tarāshe haiñ na.e duniyā ne
maiñ to jab jab bhī likhūñ baat purānī likhūñ
mere ḳhāme ko ye taufīq atā kar yārab
ḳhuun ko ḳhuun likhūñ paanī ko paanī likkhūñ
ishq hai ziist kī rag rag meñ lahū kī mānind
jāvedāñ ishq ko kis tarah maiñ faanī likkhūñ
haañ maiñ 'ġhāzī' huuñ mire fan kā taqāzā hai yahī
ḳhuun ro.e jo paḌhe vo bhī kahānī likkhūñ
Top Urdushayar.com