Yunus Ghazi

KHun-e-tamanna rang laya ho aisa bhi ho sakta hai

Yunus Ghazi

Banaras, Uttar pradesh, India

1953
ḳhūn-e-tamannā rañg laayā ho aisā bhī ho saktā hai
tanhā.ī meñ vo royā ho aisā bhī ho saktā hai
sab ke chehre par chehra thā maiñ kis ko apnā kahtā
koī mujhe bhī DhūñD rahā ho aisā bhī ho saktā hai
jis ne merā ghar luTne meñ choroñ kī aguvā.ī kī
vo merā hī ham-sāya ho aisā bhī ho saktā hai
mahfil hai añgusht-ba-dandāñ ahl-e-nazar par riqqat taarī
sher karishma kar hī gayā ho aisā bhī ho saktā hai
bhiiḌ meñ us ko maiñ ne dekhā dekh liyā thā us ne bhī
yā phir nazroñ kā dhokā ho aisā bhī ho saktā hai
daulat shohrat aanī jaanī phir is par itrānā kyā
paanī par ye naam likhā ho aisā bhī ho saktā hai
apnī kahānī jaan ke yaaro nāhaq aañkh bhigote ho
us kā ġham bhī tum jaisā ho aisā bhī ho saktā hai
vaqt kī dhuup kaḌī hai 'ġhāzī' dānāoñ kī bastī meñ
barf sā chehra sulag rahā ho aisā bhī ho saktā hai
Top Urdushayar.com