Abdul Hamid Adam

un ko ahd-e-shabab mein dekha

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981

un ko ahd-e-shabāb meñ dekhā

chāñdnī ko sharāb meñ dekhā

aañkh e'tibār kyā karte

jo bhī dekhā vo ḳhvāb meñ dekhā

daaġh māhtāb meñ paayā

zaḳhm āftāb meñ dekhā

jaam kar qarīb āñkhoñ ke

aap ne kuchh sharāb meñ dekhā

kis ne chheḌā thā sāz-e-mastī ko?

ek sho.ala rubāb meñ dekhā

log kuchh mutma.in bhī the phir bhī

jis ko dekhā azaab meñ dekhā

hijr raat so ga.e the 'adam'

sub.h-e-mahshar ko ḳhvāb meñ dekhā

Top Urdushayar.com