bhūle  se  kabhī  le  jo  koī  naam  hamārā
mar  jaa.e  ḳhushī  se  dil-e-nākām  hamārā
le  jaatī  hai  us  samt  hameñ  gardish-e-daurāñ
ai  dost  ḳharābāt  se  kyā  kaam  hamārā
kar  lete  haiñ  taḳhlīq  koī  vaj.h-e-aziyyat
bhātā  nahīñ  ḳhud  ham  ko  bhī  ārām  hamārā
ai  gardish-e-daurāñ  ye  koī  soch  kī  rut  hai
kam-baḳht  abhī  daur  meñ  hai  jaam  hamārā
is  baar  to  aayā  thā  idhar  qāsid-e-jāñ  ḳhud
sarkār  ko  pahuñchā  nahīñ  paiġhām  hamārā
pahuñchā.ī  hai  taklīf  bahut  pahle  hī  tujh  ko
ai  rāh-numā  haath  na  ab  thaam  hamārā
ai  qāfila-e-hosh  gañvā  vaqt  na  apnā
paḌtā  nahīñ  kuchh  Thiik  abhī  gaam  hamārā
dekhā  hai  haram  terā  magar  hā.e-re  zāhid
mahkā  huā  vo  kūcha-e-asnām  hamārā
ġhilmān  bhī  jannat  ke  baḌī  chiiz  haiñ  lekin
tauba  mirī  vo  sāqī-e-gulfām  hamārā
gul  nauha-kunāñ  o  sanam-e-dast-ba-sīna
allāh  ġhanī!  lamha-e-anjām  hamārā
kar  baiThe  haiñ  ham  bhuul  ke  tauba  jo  sahar  ko
shīshe  ko  ta.āqub  hai  sar-e-shām  hamārā
mai  piinā  'adam'  aur  qadam  chūmnā  un  ke
hai  shaġhl  yahī  ab  sahar-o-shām  hamārā