ġham-e-mohabbat  satā  rahā  hai  ġham-e-zamāna  masal  rahā  hai
magar  mire  din  guzar  rahe  haiñ  magar  mirā  vaqt  Tal  rahā  hai
vo  abr  aayā  vo  rañg  barse  vo  kaif  jaagā  vo  jaam  khanke
chaman  meñ  ye  kaun  aa  gayā  hai  tamām  mausam  badal  rahā  hai
mirī  javānī  ke  garm  lamhoñ  pe  Daal  de  gesuoñ  kā  saaya
ye  dopahar  kuchh  to  mo.atadil  ho  tamām  māhaul  jal  rahā  hai
ye  bhīnī  bhīnī  sī  mast  ḳhushbū  ye  halkī  halkī  sī  dil-nashīñ  bū
yahīñ  kahīñ  terī  zulf  ke  paas  koī  parvāna  jal  rahā  hai
na  dekh  o  mah-jabīñ  mirī  samt  itnī  mastī-bharī  nazar  se
mujhe  ye  mahsūs  ho  rahā  hai  sharāb  kā  daur  chal  rahā  hai
'adam'  ḳharābāt  kī  sahar  hai  ki  bārgāh-e-rumūz-e-hastī
idhar  bhī  sūraj  nikal  rahā  hai  udhar  bhī  sūraj  nikal  rahā  hai