vo  ahd-e-javānī  vo  ḳharābāt  kā  aalam
naġhmāt  meñ  Duubī  huī  barsāt  kā  aalam
allāh-re  us  zulf  ke  jāñ-baḳhsh  añdhere
jaise  ki  mahakte  hue  zulmāt  kā  aalam
ai  ra.asha-e-mastī  kā  sabab  pūchhne  vaale
dekhā  hai  kabhī  pahlī  mulāqāt  kā  aalam
nikle  the  mire  saath  vo  jab  bazm-e-azal  se
kuchh  sub.h  ke  āsār  the  kuchh  raat  kā  aalam
yuuñ  us  kī  javānī  kā  kuchh  andāza  thā  jaise
mai-ḳhāne  pe  umDī  huī  barsāt  kā  aalam
āñkhoñ  ke  tasādum  meñ  hikāyāt  kī  duniyā
hoñToñ  ke  tasādum  meñ  ḳharābāt  kā  aalam
āvāz  meñ  kaliyoñ  ke  chaTakne  kī  latāfat
raftār  meñ  bahte  hue  naġhmāt  kā  aalam
hañstī  huī  āñkhoñ  se  savālāt  kī  bārish
jalte  hue  hoñToñ  meñ  javābāt  kā  aalam
kuchh  mujh  ko  ḳhabar  thī  na  unheñ  hosh  thā  apnā
allāh-re  mad-hoshī  o  jazbāt  kā  aalam
āñkhoñ  meñ  shafaq  jism  meñ  mai  zulf  meñ  ThanDak
aalam  bhī  vo  aalam  ki  ḳharābāt  kā  aalam
anfās  se  aatī  huī  ik  narm  sī  ḳhushbū
simTā  huā  hoñToñ  meñ  mudārāt  kā  aalam
vo  chiiz  jise  zindagī  kahte  haiñ  vo  kyā  hai
hañste  hue  shaffāf  ḳhayālāt  kā  aalam
baiThā  huuñ  'adam'  le  ke  baḌī  der  se  dil  meñ
kahte  haiñ  jise  harf-o-hikāyāt  kā  aalam