āñkhoñ  se  tirī  zulf  kā  saaya  nahīñ  jaatā
ārām  jo  dekhā  hai  bhulāyā  nahīñ  jaatā
allāh-re  nādān  javānī  kī  umañgeñ!
jaise  koī  bāzār  sajāyā  nahīñ  jaatā
āñkhoñ  se  pilāte  raho  sāġhar  meñ  na  Daalo
ab  ham  se  koī  jaam  uThāyā  nahīñ  jaatā
bole  koī  hañs  kar  to  chhiḌak  dete  haiñ  jaañ  bhī
lekin  koī  rūThe  to  manāyā  nahīñ  jaatā
jis  taar  ko  chheḌeñ  vahī  fariyād-ba-lab  hai
ab  ham  se  'adam'  saaz  bajāyā  nahīñ  jaatā