mohtāt  o  hoshiyār  to  be-intihā  huuñ  maiñ
amdan  tirā  fareb-e-nazar  khā  gayā  huuñ  maiñ
kyā  ye  subūt  kam  nahīñ  merī  vafāoñ  kā
maiñ  aap  kah  rahā  huuñ  bahut  bevafā  huuñ  maiñ
aise  girā  huuñ  terī  ḳhudā.ī  ke  sāmne
mahsūs  ho  rahā  hai  ḳhudā  ho  gayā  huuñ  maiñ
mere  sukūt  ko  mirī  āvāz  mat  samajh
is  pairahan  meñ  tere  sitam  kī  sadā  huuñ  maiñ
ye  intihā  hai  mere  adab  kī  ki  ai  'adam'
us  kā  vajūd  ho  ke  bhī  us  se  judā  huuñ  maiñ