Abdul Hamid Adam

sitaron ke aage jo aabaadiyan hain

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981
sitāroñ ke aage jo ābādiyāñ haiñ
tirī zulf kī gum-shuda vādiyāñ haiñ
zamāna bhī kyā raunaqoñ kī jagah hai
kahīñ ronā-dhonā kahīñ shādiyāñ haiñ
tirī kākuleñ hī nahīñ sabz pariyāñ
mirī ārzūeñ bhī shahzādiyāñ haiñ
baḌī shai hai vābastagī do diloñ kī
ye pābandiyāñ hī to āzādiyāñ haiñ
jahāñ qadr hai kuchh na kuchh aadmī kī
vo kyā qābil-e-qadr ābādiyāñ haiñ
yakāyak na dil pheñknā aañkh vaalo
ye sab aañkh kī fitna-ījādiyāñ haiñ
ġharīboñ se kyā kaam āsā.ishoñ kā
vo ūñche gharānoñ kī shahzādiyāñ haiñ
'adam' sūratoñ kī chamak par na jaanā
ye sab aañkh kī fitna-ījādiyāñ haiñ
jahāñ bhī 'adam' koī dilbar makīñ hai
vahāñ kitnī gunjān ābādiyāñ haiñ
Top Urdushayar.com