sitāroñ  ke  aage  jo  ābādiyāñ  haiñ
tirī  zulf  kī  gum-shuda  vādiyāñ  haiñ
zamāna  bhī  kyā  raunaqoñ  kī  jagah  hai
kahīñ  ronā-dhonā  kahīñ  shādiyāñ  haiñ
tirī  kākuleñ  hī  nahīñ  sabz  pariyāñ
mirī  ārzūeñ  bhī  shahzādiyāñ  haiñ
baḌī  shai  hai  vābastagī  do  diloñ  kī
ye  pābandiyāñ  hī  to  āzādiyāñ  haiñ
jahāñ  qadr  hai  kuchh  na  kuchh  aadmī  kī
vo  kyā  qābil-e-qadr  ābādiyāñ  haiñ
yakāyak  na  dil  pheñknā  aañkh  vaalo
ye  sab  aañkh  kī  fitna-ījādiyāñ  haiñ
ġharīboñ  se  kyā  kaam  āsā.ishoñ  kā
vo  ūñche  gharānoñ  kī  shahzādiyāñ  haiñ
'adam'  sūratoñ  kī  chamak  par  na  jaanā
ye  sab  aañkh  kī  fitna-ījādiyāñ  haiñ
jahāñ  bhī  'adam'  koī  dilbar  makīñ  hai
vahāñ  kitnī  gunjān  ābādiyāñ  haiñ