vo  jo  tere  faqīr  hote  haiñ
aadmī  be-nazīr  hote  haiñ
dekhne  vaalā  ik  nahīñ  miltā
aañkh  vaale  kasīr  hote  haiñ
jin  ko  daulat  haqīr  lagtī  hai
uff!  vo  kitne  amiir  hote  haiñ
jin  ko  qudrat  ne  husn  baḳhshā  ho
qudratan  kuchh  sharīr  hote  haiñ
zindagī  ke  hasīn  tarkash  meñ
kitne  be-rahm  tiir  hote  haiñ
vo  parinde  jo  aañkh  rakhte  haiñ
sab  se  pahle  asiir  hote  haiñ
phuul  dāman  meñ  chand  rakh  liije
rāste  meñ  faqīr  hote  haiñ
hai  ḳhushī  bhī  ajiib  shai  lekin
ġham  baḌe  dil-pazīr  hote  haiñ
ai  'adam'  ehtiyāt  logoñ  se
log  munkir-nakīr  hote  haiñ