vo  sūraj  itnā  nazdīk  aa  rahā  hai
mirī  hastī  kā  saaya  jā  rahā  hai
ḳhudā  kā  aasrā  tum  de  ga.e  the
ḳhudā  hī  aaj  tak  kaam  aa  rahā  hai
bikharnā  aur  phir  un  gesuoñ  kā
do-ālam  par  añdherā  chhā  rahā  hai
javānī  aa.ina  le  kar  khaḌī  hai
bahāroñ  ko  pasīna  aa  rahā  hai
kuchh  aise  aa.ī  hai  bād-e-muāfiq
kinārā  duur  haTtā  jā  rahā  hai
ġham-e-fardā  kā  istiqbāl  karne
ḳhayāl-e-ahd-e-māzī  aa  rahā  hai
vo  itne  be-muravvat  to  nahīñ  the
koī  qasdan  unheñ  bahkā  rahā  hai
kuchh  is  pākīzgī  se  kī  hai  tauba
ḳhayāloñ  par  nasha  sā  chhā  rahā  hai
zarūrat  hai  ki  baḌhtī  jā  rahī  hai
zamāna  hai  ki  ghaTtā  jā  rahā  hai
hujūm-e-tishnagī  kī  raushnī  meñ
zamīr-e-mai-kada  tharrā  rahā  hai
ḳhudā  mahfūz  rakkhe  kashtiyoñ  ko
baḌī  shiddat  kā  tūfāñ  aa  rahā  hai
koī  pichhle  pahar  dariyā-kināre
sitāroñ  kī  dhunoñ  par  gā  rahā  hai
zarā  āvāz  denā  zindagī  ko
'adam'  irshād  kuchh  farmā  rahā  hai