kisī  ke  naqsh-e-qadam  kā  nishāñ  nahīñ  miltā
vo  rahguzar  huuñ  jise  kārvāñ  nahīñ  miltā
qadam  qadam  pe  tirī  raah  meñ  falak  haa.il
mujhe  talāsh  se  bhī  āsmāñ  nahīñ  miltā
unheñ  tarīqa-e-lutf-o-karam  nahīñ  mālūm
hameñ  salīqa-e-āh-o-fuġhāñ  nahīñ  miltā
urūs-e-dahr  ko  ġhāza  bhī  chāhiye  lekin
ġhubār-e-jāda-e-amn-o-amāñ  nahīñ  miltā
dhaḌak  rahā  hai  har  ahl-e-vafā  ke  siine  meñ
hamārā  dard  bharā  dil  kahāñ  nahīñ  miltā
sabhī  ko  da.ava-e-mahr-o-vafā  hai  duniyā  meñ
jo  mehrbāñ  na  ho  vo  mehrbāñ  nahīñ  miltā
ġham-e-hayāt  ke  pur-haul  qahqahoñ  ke  sivā
kahīñ  se  apnā  javāb-e-fuġhāñ  nahīñ  miltā
dil-e-shikasta  ko  le  jā.iye  kahāñ  'bāsit'
dimāġh-e-naḳhvat-e-shīsha-garāñ  nahīñ  miltā