taklīf  miT  ga.ī  magar  ehsās  rah  gayā
ḳhush  huuñ  ki  kuchh  na  kuchh  to  mire  paas  rah  gayā
pal-bhar  meñ  us  kī  shakl  na  aa.ī  agar  nazar
yak-dam  ulajh  ke  rishta-e-anfās  rah  gayā
photo  meñ  dil  kī  choT  na  tabdīl  ho  sakī
naqleñ  utaar  utaar  ke  akkās  rah  gayā
vo  jhūTe  motiyoñ  kī  chamak  par  phisal  ga.ī
maiñ  haath  meñ  liye  hue  almās  rah  gayā
ik  ham-safar  ko  kho  ke  ye  hālat  huī  'adam'
jañgal  meñ  jis  tarah  koī  be-ās  rah  gayā