mai-kada  thā  chāñdnī  thī  maiñ  na  thā
ik  mujassam  be-ḳhudī  thī  maiñ  na  thā
ishq  jab  dam  toḌtā  thā  tum  na  the
maut  jab  sar  dhun  rahī  thī  maiñ  na  thā
tuur  par  chheḌā  thā  jis  ne  aap  ko
vo  mirī  dīvāngī  thī  maiñ  na  thā
vo  hasīñ  baiThā  thā  jab  mere  qarīb
lazzat-e-ham-sā.egī  thī  maiñ  na  thā
mai-kade  ke  moḌ  par  ruktī  huī
muddatoñ  kī  tishnagī  thī  maiñ  na  thā
thī  haqīqat  kuchh  mirī  to  is  qadar
us  hasīñ  kī  dil-lagī  thī  maiñ  na  thā
maiñ  aur  us  ġhuncha-dahan  kī  aarzū
aarzū  kī  sādgī  thī  maiñ  na  thā
jis  ne  mah-pāroñ  ke  dil  pighlā  diye
vo  to  merī  shā.erī  thī  maiñ  na  thā
gesuoñ  ke  saa.e  meñ  ārām-kash
sar-barahna  zindagī  thī  maiñ  na  thā
dair  o  ka.aba  meñ  'adam'  hairat-farosh
do-jahāñ  kī  bad-zanī  thī  maiñ  na  thā