hañs  ke  bolā  karo  bulāyā  karo
aap  kā  ghar  hai  aayā  jaayā  karo
muskurāhaT  hai  husn  kā  zevar
muskurānā  na  bhuul  jaayā  karo
had  se  baḌh  kar  hasīn  lagte  ho
jhūTī  qasmeñ  zarūr  khāyā  karo
taaki  duniyā  kī  dilkashī  na  ghaTe
nit-na.e  pairahan  meñ  aayā  karo
kitne  sāda-mizāj  ho  tum  'adam'
us  galī  meñ  bahut  na  jaayā  karo