koī  me.ayār-e-mohabbat  na  rahā  mere  ba.ad
har  taraf  aam  haiñ  ḳhāsān-e-vafā  mere  ba.ad
silsila  un  ke  sitam  kā  na  rahā  mere  ba.ad
badlā  badlā  sā  hai  dastūr-e-jafā  mere  ba.ad
kaun  pahnegā  gale  meñ  tirī  ulfat  kī  kamand
kis  ke  sar  hogī  tirī  zulf-e-dotā  mere  ba.ad
hoñgī  qurbān  tire  ruḳh  pe  nigāheñ  kis  kī
chāñd  ho  jā.egā  haale  se  judā  mere  ba.ad
sochtā  huuñ  ki  ba-īñ  ālam-e-betābī-e-dil
kaun  māñgegā  mohabbat  kī  duā  mere  ba.ad
daad  chāheñge  mirī  tarah  miTā  kar  kis  ko
ishva-o-ġhamza-e-andāz-o-adā  mere  ba.ad
Thokareñ  khātī  phiregī  shab-e-yaldā-e-firāq
ḳhuun  ro.egī  har  ik  taaza  balā  mere  ba.ad
suunī  suunī  sī  hai  har  mahfil-e-īzā-e-talabī
jaise  duniyā  meñ  koī  ġham  na  rahā  mere  ba.ad
ḳhīra  ho  jaatī  thī  jis  se  nigah-e-sabr-o-qarār
un  ke  lab  par  vo  tabassum  na  rahā  mere  ba.ad
kyā  ḳhabar  thī  ki  maiñ  ḳhud  saath  na  dūñgā  apnā
gosht  ho  jā.egā  nāḳhun  se  judā  mere  ba.ad
fitrat-e-husn  ko  hai  aise  sitam-kash  kī  talāsh
jo  vafā  par  bhī  kare  uzr-e-ḳhatā  mere  ba.ad
zard  kar  degā  use  merī  tabāhī  kā  ḳhayāl
rañg  laayā  bhī  agar  rañg-e-hinā  mere  ba.ad
un  kā  dīvāna  to  kahlānā  hai  mushkil  'bāsit'
koī  dīvāna  agar  ban  bhī  gayā  mere  ba.ad