mirā  iḳhlās  bhī  ik  vaj.h-e-dil-āzārī  hai
banda-parvar  mujhe  ehsās-e-gunahgārī  hai
aap  aziyyat  kā  banāte  haiñ  jo  ḳhūgar  mujh  ko
is  se  behtar  bhalā  kyā  sūrat-e-ġham-ḳhvārī  hai
mahz  taskīn-barārī  ke  bahāne  haiñ  sab
maiñ  to  kahtā  huuñ  mohabbat  bhī  riyā-kārī  hai
mashq  kartā  hai  nasīhat  kī  jin  ayyām  meñ  tū
vā.iz-e-shahr  vahī  mausam-e-mai-ḳhvārī  hai
kaise  aa.egā  na  sar-dard  ko  ārām  'adam'
mere  ahbāb  ko  taqrīr  kī  bīmārī  hai