Abdul Hamid Adam

dil hai baDi KHushi se ise paemal kar

Abdul Hamid Adam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1910-1981

dil hai baḌī ḳhushī se ise pā.emāl kar

lekin tire nisār zarā dekh-bhāl kar

itnā to dil-fareb na thā dām-e-zindagī

le aa.e e'tibār ke sāñche meñ Dhaal kar

saaqī mire ḳhulūs shiddat ko dekhnā

phir aa gayā huuñ gardish-e-daurāñ ko Taal kar

ai dost terī zulf-e-pareshāñ ḳhair ho

merī tabāhiyoñ na itnā ḳhayāl kar

aayā huuñ yuuñ bachā ke havādis se ziist ko

laate haiñ jaise koh se chashma nikāl kar

thoḌe se fāsle meñ bhī haa.el haiñ laġhzisheñ

saaqī sambhāl kar mire saaqī sambhāl kar

ham se 'adam' chhupāo to ḳhud bhī na sako

rakkhā hai tum ne kuchh to surāhī meñ Daal kar

Top Urdushayar.com