sab  kā.enāt-e-husn  kā  hāsil  liye  hue
baiThā  huuñ  dil  meñ  ishq  kī  mahfil  liye  hue
ik  ik  nazar  farebī-e-sāhil  liye  hue
har  mauj  sāmne  hai  mirā  dil  liye  hue
sarmāya-e-nashāt  ġham-e-dil  liye  hue
huuñ  ya.anī  kaif-e-ishq  kā  hāsil  liye  hue
phir  kashtī-e-hayāt  hai  girdāb-e-ġham  ke  saath
tufān-e-be-niyāzī-e-sāhil  liye  hue
jī  chāhtā  hai  thak  ke  kahīñ  baiTh  jā.iye
āġhosh-e-pā-e-shauq  meñ  manzil  liye  hue
jab  lutf  hai  ki  maiñ  bhī  rahūñ  apne  hosh  meñ
aao  mirī  nigāh  mirā  dil  liye  hue
vo  mast-o-mahv  apne  faroġh-e-nashāt  meñ
maiñ  mutma.in  huuñ  dard  bharā  dil  liye  hue
ai  qais-e-dīd  apne  hijāboñ  se  hoshiyār
har  parda-e-nigāh  hai  mahmil  liye  hue
mujh  par  bhī  kuchh  karam  nigah-e-neshtar-navāz
maiñ  bhī  huuñ  ek  dard  bharā  dil  liye  hue
'bāsit'  kisī  jihat  se  na  ho  āshnā  magar
halkā  sā  ik  tasavvur-e-manzil  liye  hue