kaliyoñ  kī  tarah  dhulā  dhulā  hai
vo  jism  shumāl  meñ  banā  hai
gul-bār  haiñ  zulf  o  shāna  us  ke
qāmat  meñ  vo  tavīl  o  dilrubā  hai
lamhoñ  ke  samundar  meñ  jaise
bahtā  huā  chāñd  aa  rahā  hai
hoñToñ  se  vo  dekhtā  hai  mujh  ko
āñkhoñ  se  mujhe  pukārtā  hai
guzrī  hai  ramoñ  meñ  umr  merī
hirnoñ  se  mirā  muāshiqa  hai
'jamshed'  sambhal  ke  us  badan  par
bas  ḳhanda-e-surḳh  kī  ridā  hai