bāhar  damaktī  barf  meñ  andar  mahaktī  raat  meñ
us  ke  badan  kā  phuul  hai  jaise  havā  ke  haat  meñ
khiḌkī  se  chhante  chāñd  meñ  nazdīk  ātish-dān  ke
zulfoñ  kā  saaya  oḌh  ke  baiThī  haiñ  āñkheñ  ghaat  meñ
us  ke  laboñ  se  TuuT  kar  sīmāb-e-mai  girne  lagā
giile  gulāboñ  se  uḌe  jugnū  añdherī  raat  meñ
ik  niim  raushan  kunj  kī  jādūgarī  simTī  huī
shānoñ  ke  sīmīñ  harf  meñ  āñkhoñ  kī  niilī  baat  meñ
uḌtā  huā  ik  lafz  sā  hoñToñ  ne  āñkhoñ  se  kahā
tahrīr  meñ  aane  lagā  bikhrā  huā  jazbāt  meñ