ye  kis  maqām-e-tamannā  se  dil  guzarne  lagā
havā  hai  jism  meñ  ik  zahr  sā  utarne  lagā
ulajh  rahā  hai  tirī  bū-e-pairahan  se  badan
ki  phuul  halqa-e-bāzū  kā  kaam  karne  lagā
havā-e-dard  ne  mohlat  na  dī  sambhalne  kī
nuqūsh-e-yād  sameTe  to  maiñ  bikharne  lagā
vo  thā  sitāra-e-rañgīñ  ki  māhtāb  kī  qaash
huī  jo  shab  to  tire  lab  pe  rañg  ubharne  lagā
huā  kuchh  is  tarah  insāf  bhī  ravā  'jamshed'
ki  munsifoñ  se  dil-e-be-gunāh  Darne  lagā