yaad  ke  darīchoñ  meñ  bārishoñ  ke  manzar  haiñ
kis  nagar  kī  bāteñ  haiñ  kin  rutoñ  ke  manzar  haiñ
ajnabī  dayāroñ  meñ  shauq-e-dīd  le  jaao
kuchh  nahīñ  to  har  jānib  dilbaroñ  ke  manzar  haiñ
umr  ho  ga.ī  lekin  ab  bhī  haiñ  ta.āqub  meñ
us  galī  se  aage  bhī  titliyoñ  ke  manzar  haiñ
dil  kī  nam  zamīnoñ  par  chal  rahe  haiñ  ham  kab  se
duur  zard  peḌoñ  par  āñdhiyoñ  ke  manzar  haiñ
maiñ  huuñ  aur  samundar  hai  pesh-e-sā.id-e-sīmīñ
dar-pas-e-ruḳh-e-zarrīñ  parbatoñ  ke  manzar  haiñ
husn-e-kam-qabā  dariyā  aur  huā  barahna-pā
naqsh  aaj  bhī  dil  par  jañgaloñ  ke  manzar  haiñ
kyā  har  ek  jānib  se  chal  ke  ḳhud  tak  aayā  huuñ
mere  chār-sū  'jamshed'  rāstoñ  ke  manzar  haiñ