ye  chārāgar  to  yahāñ  har  galī  meñ  milte  haiñ
koī  batāo  kahāñ  dil  ke  chaak  silte  haiñ
tire  badan  kī  sabā  kis  chaman  meñ  chaltī  hai
kahāñ  pe  ab  tire  hoñToñ  ke  phuul  khilte  haiñ
fazā  meñ  bikhrī  haiñ  zard  āñsūon  kī  tahrīreñ
vidā-e-gul  meñ  daraḳhtoñ  ke  haath  milte  haiñ
vo  jin  ke  ashk  bichhaḌte  hue  nahīñ  thamte
mileñ  bichhaḌ  ke  to  kyoñ  be-ruḳhī  se  milte  haiñ
ġhalat  gumān  na  kar  merī  ḳhushk  āñkhoñ  par
samundaroñ  meñ  jazīre  zarūr  milte  haiñ
sulag  uThī  hai  tirī  yaad  meñ  fazā-e-ḳhayāl
ki  jaise  tīrgī-e-shab  meñ  phuul  khilte  haiñ